Sunday, March 24, 2013

BPSC Mains Examination Result Road is not End Yet


There are more than 13000 applicants  eagerly waiting for their roll number in the merit list prepared by the BPSC for 53rd 55th Combined Civil Services Examination but their waiting period is getting elongated as every now and then the examination process hits the roadblock.

It is an irony that the commission is sitting with prepared result since mid-January but earlier because of delayed clearance of total vacancy across the service given to the Commission by Government and then the High court case is standing before the result publication.


However only blessing in disguise is that the total vacancy has scaled up significantly up amid controversy around PT to Mains so those who had taken exam has better chance to qualify in the final tally.


As directed by Patna high Court Bench of Justice Mihir Jha that the Mains result will be the subject of writ petition stands out as Gloom Doom is still around.

Given the nature of Indian Judicial system it is very hard to predict when new twist will come so anything could be happened on March 2nd when AG will present the documents regarding the account services before court. 


The information is coming from the BPSC suggests that all depend on the High court directive, Commission can release the result by Evening of April-2 or within 2 days all depending upon court directive.


98 comments:

Unknown said...

March-2 or April -2nd.Thanx.

Unknown said...

Pankaj i ko sabse pahle thanks kahna chahunga ki unhone aakhi r me hum sab ko yad to kiya....es kashmakash bhare padaw ke antim charan me aapki nishkriyata hum sabhi ke andar aur jyada hatsha utpann kar raha tha....khair aapke es post ke bad se kuchh achchhi khabre v sunane ko mile aur aap v ab se thoda niyamit antral ke bad hum sabhi ki sudh-budh le sakenge aisi hi kuchh pratyasha hamare jaise logon ki hai....

Fir sr thanks Pankaj ji thoda apni upasthiti banaye rakhiye hum sabon ke bich...

Ajay Singh said...

JPSC ne apne site par MAINS (4th JPSC ) ke scaling ka formula, Mains ka cut-off aur selected logo ka list jari kiya hai.

Dosto abhi tak JPSC ne un-scaled Marks ka cut-off Jari nahi kiya hai.

Lekin mere pass Jo DATA HAI JO wah unscaled marks ka cut-off bta rha hai------

Roll No. – 7102575 Name : Sunil Kumar Singh, Cat.: - GEN, Selected in Jharkhand Suchna Seva
D.O.B. – 31/01/1978.

UN-SCALED MARKS-----

Hindi – 39
G.S. – I & II – 98 – 68
HISTORY – I & II – 95 – 108
L.S.W – I & II – 120 – 128
TOTAL Un-Scaled Marks – 617

SCALED MARKS-----
G.S. – I & II – 98 – 68
HISTORY – I & II – 95 – 108 [ Tot- 203 Scaled Hokar – 347.844539 ]
L.S.W – I & II – 120 – 128 [ Tot- 248 Scaled Hokar – 346.697041 ]
TOTAL Scaled Marks – 860.541580 + INTERVIEW – 130 GRAND TOTAL – 990.54158

Saaf hai 4th JPSC ke Written main 617 se kam number lane walo ko General Category main Interview Dene ka mauka mila kyoki JPSC apne site par Written ka cut-off marks General Category main 839.299012 (scaled) show kar rha hai.

Jabki upper wale bhai sahab ( Sunil Kr. Singh) ka jo grand Total hai wahi suchna seva ka cut-off 990.54158 hai.

KAHNE KA MATLAB HAI KE JHARKHAND MAIN 617 NUMBER LANE WALA CANDIDATE ANTIM ROOP SE SELECT HO GAYA, HA INTERVIEW MAIN ACCHA NUMBER LAYA.

Unknown said...

there is nothing to worry about. all will be well. those who have laboured hard will get their fruits. SATYA MEVA JAYATE. JAI HIND. Persons like Tiwary will be ashamed of by the Patne High Court verdict.

Ajay Singh said...

4th JPSC TOPPER (JAS) MARKS –

NAME – LEKHRAJ NAG
CAT. – BC-II (selected in General)
D.O.B – 25.02.1981

MARKS –

HINDI – 70
GS – 121-100 = 221
P.A. – 132-142 = 274 (SCALED – 391.023585)
NAGPURI – 151-157 = 308 (SCALED – 395.812529)
TOTAL UN-SCALED MARKS = 803
INTERVIEW = 115
TOTAL SCALED MARKS WITH INTERVIEW = 1122.836114

Unknown said...

when is jpsc new notification is likely to come and pelims exam to be conducted.will mains exam pattern also change like upsc.

Unknown said...

I Vinay Kumar on behalf of around 12000 examinees of 53-55 BPSC Main Examination wish HAPPY HOLI to BINOD KUMAR TIWARY.

Unknown said...

BINOD KUMAR TIWARY ke sath hai bada Lachari,esliye HOLI sab ke liye ho gaya bechare....TIWARI G ko dono hatho me mile bpsc ka seato ka pitare...........

Unknown said...
This comment has been removed by the author.
Unknown said...
This comment has been removed by the author.
Unknown said...

Pankaj ji ajay ji sathi ji mai aplogo ka suru se hi blog dekh raha hu jisse mujhe bpsc me kya chal raha hai iska pata chalta hai mai v besabr ho raha hu ummid hai ki 2 april ke sam me hi hmsavi ko khuskhabri milegi.,

Unknown said...

HAPPY HOLI FRIENDS,

Holi ke rango me dher sari mastiyan aap sabhi karen....sari pareshan hone wali baton ko chhorkar.

AC ko lekar agali sunwai 2 April ko shayad mukkamal ho sakti hai.Aisa kyas lagaya ja raha hai ki result ko lekar ab nam matr ki auparcharikta shesh hai.....court se hari jhandi milte hi kabhi v result aa sakta hai....matlab ki 2 April ko v.Aisa anuman lagaya ja raha hai ki 2-5 April ke bich result humlogo ke samne hoga,basharte ki.....aap v jante hain.

Kuchh log kafi high cut off ki charcha kar rahen hain,par mera anuman hai ki cut off hamari aur aapki pahunch ke andar hi rahega...cut off 650-670 ke seemarekha ke andar hi koe rahna chahiye.Es anuman ke aadharon par pahle v kai bar charcha ho chuki hai esliye fir espar charcha karna fizul hoga.

Fir se kah raha hun ki mix result aayenge esbar....par eske bawjood kuchh subject jaise GEO,LSW,HINDI,PA,HISTOY,SOCIO....aadi ne pichhli bar ki apeksha kafi behtar sthiti me hai.Jin sub ka nam nhi liya hai to eska matlab yah nhi hai ki usne kharab perform kiya hai...darasal uprokt sub me se adhikansh ne pichhali bar kharab perform kiya tha aur esbar tough condition me v apekshakrit behtar sthiti me hai.

Seat ko lekar thodi jyada hi sawdhani barti ja rahi hai....1106 se jyada seat rahni chahiye par kitna adhik yah abhi tak clear nhi hai.

Ak bar fir se sabko Happy Holi....

gopal said...

Dhanyawad Sathji ! Mohanji, Karmik wale Manoji, Alok ji, Ajay ji, Mukesh Raiji se bhi aagrah hai ki seato ke baare me kuch na kuch is blog par bhi batate rahen..


Aap sabki Holi MangalMay ho !!

Unknown said...

khabar hai ki seats 1117 ho chuki hai.

Unknown said...

Sathi Mitra,Gopal,Sanjay,Sahjad,jyoti and other Bloggers

Holi aayi re doston holi aayi,
sang me rangon ki masti wali fuhar layi.
Is tarah milkar khelen rangon ka ye tyohar,
ki dushman bhi dost nazar aaye.


Holi Aayi Holi aayi
Sang apne khushiyan laayi
Karo shor karo hungama
Holi ka hai rang jamana


Shor machao muhalle Muhaale
Shor machao gali gali
aa gayi hai hum sabki pyari Holi
Happy Holi 2013

Your Dreams Must Come True in Coming Time

prakash said...

SDM ka seat he ki nhi ?

Unknown said...

Gd mor frnz. 2april ka ham savi ko intjar hai udti hui khabar ye pata chala hai ki gen ka cut of 667 par ruk gaya hai agar kisi ko koi jankari ho to update de plz...

Unknown said...

Kul 12000 hain ya 13000 ya 14000 .....pankaj ji sathi ji nirajji plz spast karen

Unknown said...

HAPPY HOLI TO ALL THE BLOGGERS OF INFOWIRE. 2nd APRIL KE LIYE RANG GULAL BACHA KAR RAKHIYEGA.

Unknown said...

GS PAPER - I = 107
GS PAPER - II = 125
LSW PAPER - I = 135
LSW PAPER - II = 138
HIST PAPER - I = 125
HIST PAPER - II = 128
---------
TOTAL 758

I EXPECT prasad THIS FOR MYSELF

Unknown said...

good luck to BPSC

Unknown said...

GS PAPER - I = 125
GS PAPER - II = 120
LSW PAPER - I = 160
LSW PAPER - II = 120
socio PAPER - I = 140
socio PAPER - II = 130
---------
TOTAL 795

I EXPECT prasad THIS FOR MYSELF

Unknown said...

bhai log bas ek din baad wo din aa raha hai jiska hamlog besabri se intzar kar rahe hai.lekin aaplogo se anurodh hai ki kuchh baate yaha chipkaya kare.is sannata ko todana hoga.kisi din khabaro ki baad aur koi saptah khabaro ke liye intzaar,bada dukhdayee hai bhai.

INDIAN said...

Imagine what happens if on 2nd April the court gives next date of 15th April?

Unknown said...

2 april is comming soon...

Unknown said...

2 april is comming soon...

Unknown said...
This comment has been removed by the author.
Unknown said...

mere samajh me ye nahi aa raha hai ki co ka post add kyon nahi ho raha hai.co aur rdo ka post sath me create hua hai to fir sarkar kya co ke bina hi kam karegi for at least 3 years. give your comments

Unknown said...

Hi Friends,

Kya hal hai dosto dil ki dhadkan to abtak badh gayi hogi sabki.....
Kuchh mitron ne mujhe bataya tha ki aaj se HC v morning shift me kam karega par aisa nashi hai.HC hamesha 10-5pm wali time table ke anusar chalti hai....arthat kal hearing subah-2 nhi hone jari hai.

Jahan tak meri jankari hai uske anusar kal court ka final decision aa jane ki puri sambhawana hai....agar koe anawashayak kintu-parantu nhi lagaya gaya to kal result v aane ki ummeed hai.....arthart mangal ke din sabka mangal hone ki chances hain.Agar BPSC v kuchh aur anawashayak time lena chahe tab v friday kafi hoga result ke liye.

Agar kal AC service ke 100 seat rah jati hai to uske general open ho jane ki puri sambhawana dikh rahi hai.

Ati gopniyata barti ja rahi hai esliye kuchh jyada khabaren es dauran nhi aa rahi thi humlogo ke bich....aur eska ak dusra pahlu yah v hai ki jyada kuchh batane ke liye hai v nahi.

Seat aur cut off ke bare me kuchh kahna thik nahi hoga kyunki humlog lagbhag roj hi alag-2 tarah ki baten sunkar ub chuken hain aur aise me main kuchh kahun to vah vishvasniye nahi lagega.

Fir v ak bat jarur kahunga ki cut off ke bahut upar jane ki tamam baten galat sabit hone ja rahi hai.Cut off niche rahne wali hai...aapki ,hamari pahunch ke andar.Main koe cut off batakar anawashayak vivad nahi khada karunga par jinhone v ausat se thoda v behtar kiya hai vo nishchint rahen.Esliye ghabraiye mat sabkuchh mangalmay hone ja raha hai.

Kal ke liye sabko BEST OF LUCK!

kumar said...

Tarikh pe Tarikh,Tarikh pe Tarikh,Tarikh pe Tarikh,......hum students ko etni mehnat karte hain.
Aapas mein discuss karte hain,
Court ke Faisle ka besabri se intezar karte hain, magar badle mein kya mitli hai....tarikh. Ek Aur Tarikh mili hai 02 April.... agar is din bhi faisla nahi hua to kya hua fir se milegi...Tarikh pe Tarikh,

Unknown said...

sarkar ki mansikta hai ki avi bpsc se bahali na ho,aise hi case laga huaa rahe.ye mamla chunav ke samay clear ho aaur mai apna labh utha sake...........

Amit pathak said...

चलिए कल का इंतज़ार करते हैं, देखते हैं कल माननीय उच्च न्यायालय कोई फैसला सुना पाती है या फिर वकील-जज भाई लोग बीपीएससी के साथ मिलकर कोई नया नौटंकी खेलते हैं. संभव है कि इस बार वित्त विभाग के अधिकारी ही लापता हो जाये...

Unknown said...

Don't worry frndz,stay cool n calm.Everything
will b alright.

Unknown said...

right kya khak hoga....agali tarikh to pahle se hi decide kar liya gaya hai....16 april ka....so ab phir se intezaar kijiyega agali tarikh ka hum sab....shushashan (nitish) babu ka aadesh hai ki jab tak loksabha ka election ka date declare nahi ho jata hai tab tak hum 14000 baklolon (unke anusaar) ko tarikh pe tarikh diya jata rahe....

kumar said...

Gajodhar bhaiya ... bilkul sahi keh rahe hain aap......, BPSC job ko bhi chunavi hathkanda bana ke rakhe hue hain.... Aise me credibility na to BPSC ki rahegi aur na hi candidates ki....

Unknown said...

result ka kya hua bhaiyo...

Unknown said...

nitish kumar murda bad..bpsc ke candidate ka mazak bana diya hai...

Unknown said...

Nitish kumar PM ka sapna dekhna chor de..CM ka post bachane ka prayas kare..kyoki bpsc ke sath majak bane hue hai........nam ka sushasan babu....

Unknown said...

Aaj v kuchh nahi hua court me BPSC case ke sambandh me....SA ki sunwai hi chalti rahi...ab dekhiye kal kya hota hai....mazak bana kar rakh diya es system ne humsabo ka.

Unknown said...

Mitron, iss nitish ki sarkar ne chatron ke sath jo majak kiya hai, kasam khaiye ki agle election mein use dhul chata diya jaaye.....chahe jaisi bhi govt. Ho, lekin ye harami manjur nahi hai

raj said...

saathi jee phir aaj hua kya high court me ........ye taarikh ke bhi koi nayee tarikh milegi kya ?

Navin K said...

It seems that BPSC is inefficient to conduct such exams, aur sarkar ko bhi apni accountability ki koi parwah nahi hai, govt sirf apna image media mein data (GDP, 2lakh teachers, cycle scheme and so on) publish kar thick kar rahi hai.. they talk about good governance, and no one is taking responsibility of what is happening, what a f*** on the fate of students.

Unknown said...

kal bhi ek taarikh milney wali hai hum logon ko....aaj jaan boojh kar bssc ke ek question par 2 ghantey se jyada bahas ko ghichaa gaya....judge sahab ko bhi yah maalum tha ki unhe kis tarah aur kaise bpsc ke mamamle ko ko latka kar rakhana hai.......kal bhi jaan bujh kar pahli sunwayi ke liye bssc ko hi rakha gaya hai...kal bhi isi mamley ko lekar khincha jayega....taki bpsc ke sunwai ke liye timehi na bache....or bachey bhi to sirf itani ki koi agali taarikh de di jaaye.....

Unknown said...

NDA ki sarkar ko ukhar feko....ye harami sarkar hai.....ise dhool chatana jaruri hai....Nitish chotta sarkar hai........

Unknown said...

Binod tiwary ko jutta se maro...........

Unknown said...

Sabhi jante hain ki har sikke ke do pahalu hote hain....esi tarah se BPSC ke lagatar deri hone ka v do pahalu hain.....nirasha,hatasha,tanav aadi wale pahlu se to humlog achchhi tarah se parichit hain....par dusari pahalu ko humlog thoda ignore kar dete hain.....etni seat esbar esliye v badhti chali gayi kyunki result me ummeed se jyada deri hua,esi bich UPPCS ka ak final result aa gaya jiski vazah se interview ke waqt kuchh log shamil honge,jis tarah se lagatar deri ho raha hai us se lagta hai ki UPSC ka v final exam aa jayega aur fir kuchh log hum me se select ho jayenge.

Es se pahle deri hone ki vazah se JPSC ka mains me kuchh achchhe students chale gaye aur kuchh uppcs ki pt me tatha kuchh UPSC ke pt me ulajhe rahne ke karan thik se time nahi de sake.

Abhi main koe deta nahi de raha hun par aaplogo ko par etna jarur vishvas dila raha hun ki seat 1106 se kahin aage ja chuki hai aur abhi kuchh anay seats ko esi vacancy me shamil karne ke liye lagatar dabaw badhte ja raha hai.Shukr ki bat hai ki result dene ki hadbadi me BPSAC ne JPSC ki tarah koe v vivadaspad scaling ka formula nahi apnaya hai....han kuchh moderation ki bat sunane me aai hai jo ki sabke hit me hi hai.

Atah had se jyada nirash hone ki jarurat nahi hai....dikkat yahi hai ki humlogo ne "sushasan babu" se kuchh jyada hi ummeed laga liya tha aur mankar chalne lage the ki shayad esbar BPSC sudhar jaye......par dosto jab etna lamba intzar kiya to kuchh aur hi sahi.......par tab tak thoda sayam rakha jaye aur fir se hausala jutaya jaye....

Unknown said...

intehaa.........ho gayee intezaar ki ..........high court kuchh bata mere parinaam ki.....ye humhe hai yakeen .....tu galat to nahi ....phir wajah kya huee ................next tarikh ki

Unknown said...

wah sathi ji aapne dimag khush kar diya. late jitna karna hai kare bpsc par iske evaj me seat bhi badhate rahe to koi dikkat nahi hai. mere hisab se bpsc iski suchna isliye nahi de rahi hai kyon ki isse us par aur pan chau go case aur ho jayega.bihar me log apne dukh se nahi dusre ke sukh se jyada dukhi hai. ho sakta hai 534 co ka post isi bar dekar i case karne wala log ka abri bukhare chhora de.

Unknown said...

Sathio nirasha k vanwar se nikalkar asa ki dip jalayie der ho par dururst ho..
I hope aj to kuch disijan ho

Unknown said...

bihar high court Bpsc and bihar goverment result declare nahi karna chahti hai...so i hope today,,,bpsc ko naya date milega

Nikhil Prem said...

BPSC की कार्यप्रणाली हमेशा की तरह पंचवर्षीय योजना में तब्दील हो गई है। पहली बार ऐसा लगा था कि 53-55वीं परीक्षा एक साल में निपट जायेगी किन्तु हमें आदत हो गई है हर बार इसे घसीटकर कोर्ट में ले जाने की। इससे कितनों ही लोगों का धंधा भी जुड़ा है और मारे जाते हैं मेहनत करने वाले!

sunil kumar said...

आज की तजा खबर नितीश कुमार आज तक के सबसे असफल मुख्यमंत्री साबित हुए है ,रोजगार देने के मामले में तत्कालीन सरकार फिस्सडी रही है / उसे अब सरकारी स्थयी कर्मचारी नहीं चाहिए ,उसे तो चाहिए कॉन्ट्रैक्ट के कर्मचारी जिसमे उसके दल के कार्यकताओं की जादा से जादा संख्या हो ....इस लिए तो ये सरकार कॉन्ट्रैक्ट की निति पर चल रही है /
सुबह सैर सपाटे से दिनचर्या सुरु मुख्य मंत्री करते हैं , रास्ते में जो कुछ भी दिखाई देता है उस संबंध में कोई योजना की घोसना कर देते है ...हमारे मुख्य मंत्री महान है / कुता ,बिल्ली ,गाय ,भयेष ,मुर्गा-मुर्गी ,अदि सब के लिए योजना बना देते है / योजना का क्या हुआ इसकी वो कभी सुधि भी नहीं लेते ...आम आदमी को अब इस सुशासन से सर्म आने लगा है /
मुझे लगता है की इसके पीछे उनका रात में आने वला p.m का सपना है ..आँख ठिक से खुलती नही नींद में ही सैर पर निकल जातें है उसके बाद तो बस योजना ही योजना ,अरे मुख्य मत्री साहब योजना आप लोगो के कल्याण के लिए बनाते है न ..? तो सीधा रास्ता आपको क्यों नहीं दिखता ...लोगो को सही समय पर रोजगार देकर भी तो आप कल्याण कर सकते है / आपकी सरकर में किसी को नौकरी मिला है इन 7 वर्षो में , जो भी परीक्षा होती है वह दोषपूर्ण होती है मामला न्यायपालिका में जाकर लटक जाता है /
कल मैंने अख़बार देखा ...तो दिमाग में एक ख्याल आया आप अभी विधायिका में बहुत सारे नये कानून बना रहे है ,आप ''समय पर रोजकर का अधिकार कनून '' भी बना देते तो जनता का बहुत भला हो जाता / तो सिर्फ अलूल जलूल कानून बना रहे है, जिससे केवल आप का हित पूरा होता दिख रहा है ..जिससे आपको रष्ट्रीयता की पहचान मिल जाए ,विकास और सुधारक के रूप में आप ख्याति प्राप्त करे ...और p.m बन जाए / चश्मा का पॉवर बढ़वा ले अभी ये पद आपसे कोसो दूर है कम से कम मै आपको वोट नहीं दुगां /

skm said...

Aaj court main kya hua. Koi information nahi hai abhi tak?

DHANANJAY KUMAR SINGH said...

bhai log ab to patient aur patience mai koi fark nahi bacha hai is nitish ji ke karyakal main khaskar student ke sath.

Unknown said...

Aaj v BPSC ki sunwai nahi ho saki HC me...SA case me hi judge sahab uljhe rahe....aasha hai ki kal BPSC wale case ki sunwai ho sakegi kyunki SA ki agali tarikh mili hai 5 April ko.

Unknown said...

judge sahab damini (jo logo ne bpsc ke khilaf court gaye hai) ko kab insaf milega, damini ke kewal milta hai to tarik pe tarik, apke court mai kamjor ko kabhi justice nahi milta, yadi kuch milta hai too kewal tarik, hamara judiciry system se tooo trust khtam ho gaya hai,,,,,,mai unlogo ke patna high court se request karuga jin logo ne (Damini) ko jaldi se insaf de,,,,,damani ko ab nahi chhahiye tarik pe tarikh.........

Unknown said...

Nitish ko pagla badshah kahne me koi dikat nahi honi chahiye,ye muhamad tuglak ki bansaz hai.......ab ise hatana jaruri hai..tarah tarah ka prayog karta hai,lekin koi sahi nahi hota hai....chotta sarkar nitish kumar.....

Unknown said...

Thanks Sathi Mitra ji for ur valuable information
plz. keep updating us.

Unknown said...

Thanks sathi ji ak aphi hain jisse kam se kam ye to pata chalta hai ki cort me kya chal raha hai aur savi log kewal sarkar ko kosne me lagen hain..

bj ram * said...

The court will give its verdict tomorrow...good luck to all the aspirant!

Unknown said...

kal koi chance nahi hai .kal hearing khatm ho jaaye yahee bahut hai ....waise bhi wo apna decision surakshit rakhne ke liye jaane jaate hai .....hopefully next week tak decision aa jaayega .....aur 15 april tak result aa jaayega .....agar tiwari jee ne further koi janhit me kaarya nahi kiya to...........

Amit pathak said...

for current news regarding 53rd -55th BPSC plz join the group -

http://www.facebook.com/groups/bpsc.interviw/

Unknown said...

Mitron aaj v hearing nhi hue.....kisi ke mrtyu samaroh me sabhi log vyast ho gaye....ab dekhiye fir kal kya hota hai...

skm said...

Ab hearing kab hogi?

Unknown said...

Aaj ki hearing par ab thodi detail baten....aaj v dusre court case chalte rahen....BPSC ke advo ne aaj hi mamle ko nipta dene ke aagrah kiye to Judge sahab ne khud hi ese Monday ko nipta dene ka aashwasan diye hain....us din BSSC ki v hearing hai karib 11 bje tak....kaha gaya hai ki agar 1st half me sunwai nhi ho pai to 2nd half me v jakar BPSC ki hearing puri kar di jayegi aur esme matr 10 minute time lagne ki bat kahi gayi hai.Ak bat aur BPSC ne sabhi AC ki 100 seat ko open kar dene se sambandhit karyawahi ki hai.Monday ko es case ka niptara ho jana chahiye.

Unknown said...

Thanks sathi ji ye update dene k liye

Unknown said...

Gd morning friendz bpsc k case ki sunwai monday ko v puri nahi hogi qki us din pahle fir SA ki sunwai hogi isiliye frnz koi jyada ummid na pale.....

Unknown said...

INTZAR, INTZAR AUR SIRF INTZAR Ji ha dosto sabhi intzar se ub chuke hai yah swabhwik bhi hai lekin yakin maniy yah intzar apka pichha chhornewala nahi hai jaise pahle apne --
intzar- karib-karib 2 varsho tak vigyapan ka intzar kiya
intzar-PT exam ka intzar
intzar- pt result ka intzar
intzar- pt ka revised result(kuchh logo dwara )
intzar- Mains exam ka intzar
intzar- Aur ab Mains ka result ka intzar. Sambhwath ab yah intzar jyada na karna pare.
KINTU ISKE BAD BHI KAI INTZAR APKA INZAR KAR RAHE HAIN MASLAN

intzar- interview ka
intzar- final result ka
intzar- bpsc dwara recommendation bheje jane ka
intzar- paper verification, police verification ka
intzar- Appointment ka
intzar- Joining ka
intzar- posting ka
intzar- training ka
intzar- kary awantan ka . Isi tarh aur kai intzar.
kuchh log is intzar ke liye bpsc court awm sarkar ko gali dekar mann ka bharas nikal rahe hain aur apne man ko halka karne ki kosis kar rahe hai chaliy thik hai……. but mai puchhta hu jab bachelor kisi ladaki ka inttzar karta hai, student kisi teacher ka intzar karta hai, bacha apne mummy papa ka kisi bat ke liye intzar karta hai, ghar me husband apne wife se kisi bat ke liye intzar karta hai wife aksar apne husband ka intzar kiya karti hai tab log kise gali dete hain ? apne man ko kaise halka karte hain ? Intzar se to sari zindagi bhari pari hai . Kabhi-kabhi log kisi ke intzar me sari zindagi hi gujar dete hai. Mai sochta hun intzar hi zindagi hai. Ath ap bhi badhiya se intzar karne ka abhyas kariye lijiy ….. bad me kame dega. Akbakiya swabhw ke log jo thik se kisi ka intzar nahi kar pate bahut kuchh kho dete hai. Sabr karne wale baji mar le jate hain. Ab Altaf Raza ka yah jumla fail hai –“ Thora intzar ka maja lijiy.” Mai to kahta hun –“ Intzar, intzar aur sirf Intzar ka maja lijey.” Just a time pass.

Ajay Singh said...

दैनिक समाचार पत्र हिन्दुस्तान के जमशेदपुर संस्करण (दिनांक- 06.04.2013) में यह खबर छपी है की कार्मिक विभाग, झारखण्ड ने झारखण्ड लोक सेवा आयोग, रांची को एक पत्र जारी कर कहा है की राज्य सिविल सेवा परीक्षाओ में उम्मीदवारों के शामिल होने के अधिकतम अवसरों को 4 तक ( सामान्य वर्ग ) सीमित किया जाता है.

अब JPSC में किसी को भी 4 Attempt से ज्यादा नही दिया जाएगा। सवाल यह है कि आज जब लगभग सभी राज्यों ने अपने यहॉ pcs exam को attempt free कर दिया है तो आप कौन सी नर्इ व्यवस्था को लागु कर रहे है ?
JPSC के गठन के समय आप ने यह नियम बनाया था कि कोर्इ भी 4 attempt दे सकता है और बाद में आपने इसे संशोधित कर attempt free कर दिया। आपको क्या हक है छात्रों के भविष्य से खेलने का। आज आप attempt को 4 कर दे रहे है, अगर आप पहलें attempt को संशोधित नही करते तो आज हम अपना attempt बचा कर रखते।

Unknown said...

Is tarah ke material ka koi bhi intzar nahi karega.likhna hai to kitab likhiye blog par mat likhiye.Apke pas likhane ka bahut samay hoga par dusre ke pas intzar karane ka samay hai par apka material padhane ka nahi!

Unknown said...

manoj ji, aap nischay hi koi sarkari naukari kar rahe isliye intezar ka maja le rahe hai par jara un logon ke bare me bhi sochiye jo ashok rajpath me kiraye ka makan lekar varson se preparation karte hai, ghar par bojh bane hue hai aur aage koi rasta nahi dikh raha hota hai. kitno ki to shadi bhi ho chucki hoti hai aur bacchon ki bhi jimmedari utha rahe hote hai. bpsc dene walon ka avg 29 se kam nahi hota hai, yani apni aadhi jindagi to ve pahle hi ji chuke hai.

kya haq hai is bpsc ko ham sabhi logon ke time ko barbad karne ka? kya inhe ya hamare bahucharchit susasan babu ko jara bhi sharm nahi aati.ye tatha kathit officers aur exam controller 150 sahi question nahi puch sakte?. kya abhi tak inpar koi action liya gaya hai?.

khair manoj ji in sab me aap ki bhi kya galti hai aap to bas mahaul halka karne ke liye gum me kush hone ka prayas kar rahe hai. mai aapko katai criticise nahi kar raha hun.

Amit pathak said...

verryyyyyyy good comment Manoj ji.!!!

Unknown said...

Cut off ko lekar dosto jyada pareshan hone ki jarurat nahi hai....sach to yah hai ki abhi tak BPSC ke taraf se koe v cut off nhi bana hai....jitne sare cut off ki baten humlog prayah sunte hain vah vastav me hum sabhi logo ka anuman bhar hi hota hai aur yah anuman v humlog apni suvidha aur asuvidha ke anusar gadhte hain aur samay-2 par sansodhit v karte rahte hain.

Seat ke bare me ak bar fir se yah kahunga ki 1106 se jyada seat rahne wali hai...CO ki seat agar nhi v aati hai tab v thik thak seat badhegi....esliye seat ki v chinta karne ki jarurat nhi hai.......kuchh log kah rahen hain ki 150 + seat aur add ho sakti hai....sach kya hai yah to result ke bad hi pata chelega par etni seat yar kafi lagti hai....AC Service ke seat agar kal Mihir baba ke prakop se bach jata hai to use general opewn ho jana hai......koe boom factor nhi ,yah bat main fir se duhara raha hun......
VAISE AAP SAB KE ANUMAN KO MAIN NIMANTRIT KARTA HUN SEAT,CUTOFF,RESULT YA ANAY KOE V RESULT SE JUDA MUDDA KYUNKI SACH TO YAH HAI KI SAMAY KAT NHI RAHA HAI COURT CASE KI ULJHANO ME...

Unknown said...
This comment has been removed by the author.
raj said...

court me next date 15th april ko pad gayee hai ............jai ho mihir baba ki !!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Unknown said...

agali hearing ka date MONDAY ko diya gaya hai....judge saheb ne BPSC ke vakeel ko esliye danta ki unhone sunwai ke liye zor diya tha.....Mihir baba ne kaha ki aap logo ko bahut hadbadi rahti hai...jayiye agale Monday ko sunvai hogi......shayad unko ab v kuchh ummeed hai ki kuchh man layak vyavstha ya jugad ho jaye

Unknown said...

Ye judge baba to sach me bhagwan ho gaye!!!!!

Unknown said...

SORRY YAR....KAL SUNWAI HAI...

som said...

sathi g ye kya majak kar rahe hain. hum sab aapko kafi reliable mante hain. sahi batayen kal sunwayi hai kya ?

Unknown said...

Han yar kal sunwai hai...aaj v kuchh nhi ho paya...mujhe jo information us samay mili thi maine vah post kar di...bad me check karne par pata chala ki Monday ko nhi blaki kal hi arthart 9 April ko....par kal v pahle SA ki sunwai hogi fir uske bad hi samay mila to sunwai ho payega...asuvidha ke liye khed hai

crazy bureaucracy said...

no need of sorry sathi ji...aisa kabhi kabhi hota hai..
keep doing the good work as u always do.
iss bpsc result ke wajah se upsc pt pe bhi focus nahi kar paa raha hu

Kumar said...

Sathiji bahot-2 dhanyavaad aapko ... for ur timely updates... u are really doing a great work for fellow candidates

skm said...

Yeh Judge saheb chate kya hai?

skm said...

Lagta to yehi hai aaj bhi kal ka hi date milega

Unknown said...

judje sahab ko ek Antiquity (unka favourite brand) chahiye.....!!!! ek baar unhe mil jaaye fir dekhiye unka kamaal.....!!!!! wo 1000 seat ko 2000 seat me aur result aaj saam tak.....!

Unknown said...

Aj judhe saheb ke ka mud ba ho .



Unknown said...

Sahamati ban gayi hai......BPSC ne 100 seat hatane par raji ho gayi hai....ab result par laga stay hat gaya hai.....Ab AC searvice ke 100 seat hatakar result aa jayega....thoda samay esliye laga kyunki es matter par vichar karne me BPSC ne aaj hi thoda samay lekar apni sahmati de di.....ab result ke liye abhi se shubhkamnaye aap sabko...

M said...

Sathi nji..Ab total seats kitna hai?

Navin K said...

aisa lag raha hai ki 1070 vacancies hi final figure hoga, because no solid confirmation is coming out as of now, perhaps trend of contractualization & outsourcing of govt jobs is severely affecting eligible unemployed youth of our state. State like Bihar in spite of staggering GDP lag behind national average in all human indices and would require a pool of efficient human force in all govt depts to keep development pace on.
But unfortunately permanent post are coming just 10-20% of temporary

Unknown said...

Sathiji thanks again .... result kab tak expected hai?

Unknown said...

Result declared.plz check.

skm said...

Yes result declared. Congrats and best of luck for all who got in.
I am also in.

Unknown said...

I want to contact those candidates who are eligible for Bihar Accounts Service conducted by bpsc.we want to file writ petition against the order of the Hon'ble Patna High Court relating to the reduction of the 100 posts of Bihar Accounts Service. My Mobile No.-09955541474

Unknown said...

Neta log apne me parsan hai. ham sab ke bare me. Kya sochege.

Unknown said...

Best bank coaching centers in bangalore
.www.miqclasses.com

Ancy merina said...
This comment has been removed by the author.
Anonymous said...

Customer_care_helpline_number
-8670530538
Any-problem call my agent (24*7) house-contect hair
_toll free _1800300989

Head office (all-india) but your language in Hindi and English---
Your problem solved-

Customer Care number_7047303458

(All-india) contact hair_my head office
Call my assistant 24 hours available anyone______

Contact hair_7063539605
Contact hair_9958429949

Online detected your amount and pending your amount_problem call my agent assistance
__(24*7)__contect hair

Contact hair 7478897537
Online problem call my assistant 24 hours available anywhy
All India contact my assistance is 24 hours available all India contact Hare all this number available

_______
____________

Customer_care_helpline_number
-8670530538
Any-problem call my agent (24*7) house-contect hair
_toll free _1800300989

Head office (all-india) but your language in Hindi and English---
Your problem solved-

Customer Care number_7047303458

(All-india) contact hair_my head office
Call my assistant 24 hours available anyone______

Contact hair_7063539605
Contact hair_9958429949

Online detected your amount and pending your amount_problem call my agent assistance
__(24*7)__contect hair

Contact hair 7478897537
Online problem call my assistant 24 hours available anywhy
All India contact my assistance is 24 hours available all India contact Hare all this number available

_______
____________

Customer_care_helpline_number
-8670530538
Any-problem call my agent (24*7) house-contect hair
_toll free _1800300989

Head office (all-india) but your language in Hindi and English---
Your problem solved-

Customer Care number_7047303458

(All-india) contact hair_my head office
Call my assistant 24 hours available anyone______

Contact hair_7063539605
Contact hair_9958429949

Online detected your amount and pending your amount_problem call my agent assistance
__(24*7)__contect hair

Contact hair 7478897537
Online problem call my assistant 24 hours available anywhy
All India contact my assistance is 24 hours available all India contact Hare all this number available

_______
____________

Customer_care_helpline_number
-8670530538
Any-problem call my agent (24*7) house-contect hair
_toll free _1800300989

Head office (all-india) but your language in Hindi and English---
Your problem solved-

Customer Care number_7047303458

(All-india) contact hair_my head office
Call my assistant 24 hours available anyone______

Contact hair_7063539605
Contact hair_9958429949

Online detected your amount and pending your amount_problem call my agent assistance
__(24*7)__contect hair

Contact hair 7478897537
Online problem call my assistant 24 hours available anywhy
All India contact my assistance is 24 hours available all India contact Hare all this number available

_______
____________

aadiyogi said...

Congratulations to all the successful candidates on the 67th BPSC Final Result 2023 Your hard work and dedication have truly paid off, and it's inspiring to see the exceptional talent that emerged in this examination.